Kalam ye kehta hai khuda se,
Jab bhi main Likhta hun tere Masoom(a.s) pe,
Khushboo jannat ki aati hai mere syaahi se,
Nuqta khud jud jaata hai huruf se,
Likhe Alfaaz bhi yun Naara lagatay
Ki Nami paata hun main apne waraq pe.,
Akhir Maamla kya hai ye?
Sada ye gaib se fir aati hai,
"Maine ye ikhtiyaar tujhe Nawaaza hai"
Jab bhi tu shaan mein Ahlebayt k Likhta hai,
Tere nok se jannat ki Asharfiyan barasti hain,
Jo tere syaahi mein khushboo pahlati hain.
Tu jab likhna shuru karta hai,
Ambiyaa aakar masaayb padhte hain,
Rokar tere alfaaz naara lagatay hain,
Unke Ashkon ki hee ye Nami hai!
Maatha tek k bola kalam khuda se,
Ya rab karun mein shukr tera kaise?
Waada tujse bhi ye mera hai,
Jab koi thamaygay mujhe is waastay,
Kar kay Buland uski soch main,
Qayam rakhunga uska Jazbaa main !
-SSW
-SSW
No comments:
Post a Comment