Wednesday, July 17, 2013

CHILD LABOUR- Blot to Society
      Majboor Hathon ka Khoya Bhavishya......
         Hota hai unka savaayra,
        Tutay hue sapnon k sang,
      Adhuray ehsaas ki bebasi ,
       Karti hai aankhon ko nam.
 
      Likh rahi hoon aaj mein ek aisi kahaani,
     Jaan kar bhi aap …unjaan hain kaee….

     Naam aur ma-baap k iskay hai na pata,
     Par kaam karta hai har jagah.
                                                                        
   Aam bachoon ki tarah,,Hai ye bhi ek nanna,
   Waqt k saath jisne apna bachpana khoya.
 
    Dekha nahi tha kabhi isne koi hilona,
   Thaam kar majburi ka haath bas chal pada,

    Door kar diya tha waqt ne issay,
   Maa k sparsh aur baap ki daat se.
 
   Ban gaya ye shikaar kisi k swaarth ka
  Aag aur lohay mein apni zindagi taulta.
 
   Eeton k beech tha iskay bhavish ka neev,
   Ab kaaton sa chubta issay har jeev.
 
   Iski toh majburi hi ban gai iska gunah,
  Zulm k pahaad ko jo unsay sah liya!
 
 Haath k lakeer ne bhi de diya tha isay dhoka,
 Gard aur dhool se mita diya woh
   bachpana..
 
   Par kab tak jalta ye nana chiraag ,
  Seh na paya mohtaaji ka taaj!!
 
  Haar k zindagi se apni….
  Aa gaya ye ek din rail k beech …!
 
 Ho gaye badan k chitday iskay,
 Par phoochnay wala na tha koi!
 
 Bebasi ki zindagi se thi maut behtar,
Khwaishon ko seenay mein basakar who chal basa door kahin!!!!!!
 
   Kya socha hai kabhi aapne is baat par
  Pehente hain jo haathon mein chudiyaan,
  Kitni gadi hongi usmay majbooriyaan!!
 Aatay hain bazaar mein roz naye kapde
 Par saath mein kai adhure sapnay sanjoay..
 
 Khaair..karti hoon aant mein apni kahaani ka,
  Par yahi hai sach aur haqeeqat mein faasla!!
                             -SSW

2 comments:

I stopped Writing...

Why i stopped writing and then withered down with no words to carve  on the narrations of  so many perspectives At times it is therapeutic a...